Blog post kaise likhni chahiye

Blog post kaise likhni chahiye

Agar apne abhi tak khud ka blog nahi banaya hai to aap yaha click karke puri jaankari padhkar apna ek blog bana sakte hai aur fir isme editing shuru kar sakte hai.

SEO post

Bahut se log blog to bana lete hai lekin unke blog par kafi kam content paya jata hai aur isi karan unke blog ko koi nahi padhta. Aaj main apko bataunga ki kaise aap apne blog par editing kar sakte hai jisse apki blog post ek perfect blog post ban jayegi aur apki blog ko kafi log padhenge.

Post Title

Blog post ka title likhne se pahle aapko thodi keyword research kar leni chahiye. Keyword research ke liye kuchh website paise leti hai aur kuchh free keyword research ka bhi option deti hai. Agar aap meri mano to Google Keyword Planner free keyword research ka sabse best option hai. Yaha apko 3 tarah ke  keyword milte hai jo High, Medium aur Low keyword hote hai apko kewal Low keyword hi put up karne hai. Post title me aap lagbhag 30 characters use kar sakte hai.

Post Body

SEO experts ke anusar blog post me 300 se jyada words likhna better mana jata hai aur wo bhi apka khud ka uniquicontent hona chahiye. Kam se kam ek image jarur add kare aur image khud create kare ya downloaded images ko itna modify kare ki Google us image ko copyright na bataye. Post me topic ko achchi tarah cover kare taki apke readers ko post me kuchh seekhne ko mile ya jis problem ke solution ke liye usne apki post ko open kiya hua hai wo solution usko mil jaye.

Posts ke link Add kare

Jab aap koi blog post likh rahe ho to usme kuchh words apki purani posts ke bare me ho sakte hai aap un words me purani posts ke link add kar sakte hai isse bhi apke daily page views badhte hai. Lekin dhyaan rahe post me jyada link nahi hone chahiye isse apki readership ghatne ka khatra hota hai.

Read more ya Recommended posts

Blog posts me Read more ya Recommended posts heading dekar 2-3 aisi posts ke link add kare jo likhi ja rahi posts se milti julti ho ya same Label ki post ho. Ye bhi readership ko increase karne ka achcha upay hai.

Add Lebel

Jab apki post ready ho jaye to usme Label jarur lagaye aur aap ek post me kitne bhi Labels add kar jisse hai. Label lagane se readers ko apne interest ki posts ko dhundhna na pade aur wo kisi bhi topic se related sari posts ko ek jagah paa sake, isse apke daily page views badh jayenge kyonki agar koi reader 'Computer' ke bare me apke blog par koi post read karta hai aur apne apne blog me 10 posts me 'Computer' Label laga rakha hai to wo reader 'Computer' se related aur posts padhega aur is tarah apke daily page views badh jayenge.
Agar aap is tarah apne blog ki post likhenge to aapki post ek perfect post hogi jiski ranking bhi achchhi hogi aur use jyada readers padhenge.

Read more :
✔ Blog post me Label add kyo kare aur kaise kare
✔ Blog post me custom url kaise add kare
New blog kaise banate hai [full information]

0 Response to "Blog post kaise likhni chahiye"

एक टिप्पणी भेजें

Thanks for your comments.

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel