New blog kaise create karte hai

New blog kaise create karte hai

Agar aap apna khud ka ek blog banana chahte hai jis par aap apne vichaar duniya ke samne rakh sake, koi online business shuru kar sake ya kisi bhi tarah ki nayi cheeje duniya ke samne lana chahte hai to aapke liye yah ek best option hai ki aap khud ka blog banaye jo ki bahut aasan kaam hai, aap kuchh hi minutes me ek fully ready blog bana lenge bas apko kuchh steps follow karne honge. Blog shuru karne ke liye jyada requirements nahi hai bas aap 18+ ho aur apke paas ek personal Email Address ho. Blog banane ke liye education ki koi boundation nahi hai kewal aapko unique contents likhne aane chahiye jo Blogging ka sabse khass point hai.  Aap kisi bhi language me blog likh sakte hai lekin agar aapki English clear hai to main apko recommend karunga ki aap English me hi blog banaye kyonki English ek International language hai. Isme aap kisi or blog/website se content copy karke ya usme koi thodi bahut changing karke aap publish to kar to denge lekin aapko isse koi benefit nhi hone wala.
Note : free blog kuchh is tarah ka hota hai, blogURL.blogspot.com
Agar aap isme se blogspot hatana chahte hai to aapko ek custom domain name kharidna hoga.


Kaise banaye apna new blog

In steps ko follow kijiye aur koi extra kaam mat kijiye aur na hi kisi mandatory field ko skip kijiye to apka ek bilkul complete blog bankar tayyar ho jayega : -
◆ Sabse pahle apne phone/PC me apko 'Chrome' browser ko open krna hai aur apne gmail account ko 'Sign in' krna hai

◆ ab apke account ke left me dikh rahe is icon ko click karna hai, scroll down kijye aur blogger icon par click kijiye

◆ apke samne kuchh is tarah ka interface khul jayega, ab apko left site me 'New Blog' naam se ek option show hoga is par click kare

◆ ab apko ye wala interface dekhne ko milega, pahle aap apna blog url enter kijiye jo jyada bada nahi hona chahiye aur fir check availability par click kijiye. Ho sakta hai jis url par aap blog banana chahte hai wah already koi aur bana chuka ho, to aap koi aur url try kijiye jab apke dwara type kiya hua url available show ho jaye tab aap apne blog ka title bhi isi ke jaisa likhiye. Ab apko Google ki or se recommended themes me se kisi ek ko choose krna hai aur 'Create Blog' option par click krna hai.
👍 Apka blog ready ho chuka hai aur ab aap apne blog par pahli post daal sakte hai, aur dhyaan rahe apko har post me 300+ words type karne hai kyonki jyada chhoti post ko Google rank nahi karta hai. Aur har post me khud create ki hui minimum ek image jarur add kare isse apke blog ko jyada se jyada log padhenge. Image attractive hogi to visitors apki post ko jarur padhega warna Skip karne ke jyada chances hote hai.
Read more :
Blog post me Label add kyo kare aur kaise kare
Blog post me custom url kaise add kare
Blog post likhne ka sahi tarika

0 Response to "New blog kaise create karte hai"

एक टिप्पणी भेजें

Thanks for your comments.

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel