Blog traffic kaise badhaye legally

Blog traffic kaise badhaye legally

Blog to log bana lete hai lekin unke blog par traffic bilkul nahi aata hai iske kuchh karan hote hai. aap mujhe ek baat batao ki agar aapne kisi bhi saman ki ek shop khol di lekin customers apki dukan par nahi aa rahe hai to batayiye ki shop kholne ka fayda kya hua ? Kuchh nahi, faltu me paisa lagaya aur time waste kiya jisko aap kisi or kam me utilize kar sakte the.

Reasons : kyo nhi aata traffic

sabse pahla aur important reason hota hai apki post/article me keywords ka achchha na hona, post ka chhota hona, post me images na hona, post me language mistake hona, blog ko Google search console me submit na karna, sitemap submit na karna aur traffic generate karne ke liye khud kuchh mehnat na karna. Aur bhi bahut reasons hote hai lekin ye kuchh basic karan hote hai jinki wajah se apke blog par traffic nahi aata.

Blog traffic kaise badha sakte hai

Agar aap chahte hai ki aapke blog ka traffic badh jaye to iske liye me kuchh tips bata raha hu jo khud me use karta hu aur ye kaam bhi karti hain : -
* Blog ko Google search console me submit karo
* blog ka sitemap submit karo
* original content likho achchhe keywords use karte hue jiske liye aap Google Keyword Planner tool use kar sakte hai
* social media par blog ka Url aur posts ka Url share karte rahiye, ye ek bahut hi achchha madhyam hai
* ek single post me kam se kam 300 words likho aur images add karo jinhe aapne khud create kiya hai
* post me language mistake nahi honi chahiye kyonki agar visitors/readers ko aapki language hi samajh nhi ayegi to apki posts ko koi nahi padhega
* blog ke naam se Google+, facebook jaise social media par apna page banaye isse bhi kafi help hoti hai.
* dusre bloggers se apne blog ke liye backlink ke liye request kare
* Subscription box add kare

Blog me in galtiyo ko sudharo

➡ blog me broken links nahi hone chahiye kyonki ye traffic decrease karte hai.
➡ koi bhi violated content ya copyright content apne blog me publish na kare.
➡ lalach ke chakkar me jyada Ads na lagaye
➡ hacking-cracking se related post publish na kare
➡ Bad looking template use na kare isse users ko blog ko samjhna mushkil ho jata hai
➡ post me bahut jyada links add na kare


0 Response to "Blog traffic kaise badhaye legally"

एक टिप्पणी भेजें

Thanks for your comments.

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel