Blog post me Label kyon aur kaise add kare

Blog post me Label kyon aur kaise add kare

Blog post me Label add karna jaruri hota hai isse apki blog post ko ek category mil jati hai. Jo reader kisi particular category ki posts ko padhna pasand karta hai wo directly kewal Label par click karke us Label se attached sabhi posts ko dekh sakega aur jis jis post ko padhna chahega padh sakega. Isse blog ki readership par kafi achchha prabhav padta hai.

Label kyon add kare ?

Jaisa ki aap upar padh chuke hai ki post ko category mil jati hai aur readership increase hoti hai. Label lagane se aapko bhi suvidha hai aur reader ko bhi.

Label in Blog post

Chaliye batata hu kaise Label lagane apko kya suvidha hai ? Jab aap kisi purani post ko update karna chahe to aapko post ko dhundhne me samay lag sakta hai lekin agar aap apne blog ke Dashboard page ko dhyan se dekhe to waha apko do important option milte hai jinki madad se kisi bhi post ko aasani se dhundha ja sakta hai -
(1) Keyword type karke post dhundhiye
ho sakta hai apko post ke keyword yaad na ho to apke paas dusra bhi option hai
(2) Label ke madhyam se post dhundhiye
Isse aap directly kisi bhi post ko dhundh kar usme kuchh bhi update kar sakte hai. Label lagane se ek aur main fayda ye hai ki agar apki koi post Google me sahi se rank ho gayi to jis label se apki wo post hogi aur post automatically rank ho jayengi.
Readers ko blog me Label hone se suvidha ho jati hai kisi bhi topic ko achchhi tarah se cover karne ke liye. Ho sakta hai readers ko ek post padhkar kuchh aur janne ki ichchha ho jo aap apne dusri post me clear kar di ho.

Post me Label kaise add kare ?

Blog post me Label add karna  bahut aasan hai bas apko Label icon par click krna hai

ab aap post ke liye jo-jo labels likhna chahe likh sakte hai aur 'Done' kar de.

Read more :

✔ Blog post me custom url kaise add kare
✔ Blog post likhne ka sahi tarika
new blog banane ki puri jankari

0 Response to "Blog post me Label kyon aur kaise add kare"

एक टिप्पणी भेजें

Thanks for your comments.

Iklan Atas Artikel

Iklan Tengah Artikel 1

Iklan Tengah Artikel 2

Iklan Bawah Artikel